logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - syed raza abbas zaidi - 2021

Tadfeen Shahzadi Sakina

Tadfeen shahzadi sakina

Haye.. Haaye

Bayaan karta hu zindaa'n mein kya qayamat thi
ghareeb baba se jis dum ghareeb beti mili
wo apne baba ke sar se lipat ke rone lagi
tadap ke li jo sakina ne akhri hichki
kaleja phat-ta hai kaise sunau wo manzar
rakhe the beti ne rukhsar baap ke muh par

Andheri qaid mein phir kya hua suno aage
behen ko dekha jo baba ke sar se lipte hue
tadap ke baali sakina ke paas aa pohche
jo nabz dekhi to sajjad ne kaha roke
utha rahi thi jo ghum wo thak gayi ghum se
phuphi humari sakina bichhad gayhi hum se

Laraz raha tha wo zindaan aah o girya se
ye bole abid e muztar ghareeb e zahra se
chhudau kaise?
chhudau kaise mai sar aapka sakina se?
mili hai kitne dino baad apne baba se
bohot ghareeb hu ye ghum utha na paunga
bahan ki god se mai sar chhuda na paunga

Sar e hussain chhudaya jo Ya Ali keh kar
kaha sakina se tum par salam aye khwahar
na jaane kitne hai ehsaan aapke mujhpar
ye bhai kaise utarega qabr ke andar
ye dekho jakda hai zanjeer mein humara badan
tumhara laasha na bhai se uth sakega bahan

Sitamgaro ne jo karbobala mein bandhi thi
gale mein hogayi paywast haye wo rassi
chhini thi baliya'n, hai kaan aaj bhi zakhmi
sitam ki hadd ye hui aap margayi pyaasi
ayaa'n hai chehre pa ab tak nishaa'n tamacho ke
chupau kaise bhala mai ye neel gaalo ke

Woh raahe shaam woh ghurbat bhulau mai kaise?
ek aisa mod tha ghazi ka sar tha naize pe
jab unke saamne laakar pakad ke baalo se
tamache maare the zalim ne tumko has has ke
laeen kehta tha abbas ab na aayega
nahi hai koi jo durro se ab bachaega

Pukari laashe sakina pe zainab e muztar
ye karbala mein qayamat guzar gayi tumpar
phuphi ke saath khadi dekhti rahi manzar
chalaya bhai ke sukhe gale pe jab khanjar
kaha ye bhai ne, do mera saath aye zainab
rakho sakina ki ankho'n pe haath aye zainab

Phuphi bhatije se kehti thi mat karo faryaad
tumhara saath mai deti hu sayyed e sajjad
padi hai hum pe qayamat se bhi badi uftaad
tumhari tarha mere haath bhi nahi azaad
hai ab ye shaam ka zindaan hi watan iska
yehi jala hua kurta hai, ab kafan iska

Kaha ye saniye zahra ne bibiyo aao
janaza bali sakina ka saath uthwao
jo apne baba ko roti thi usko dafnao
nahi hai pani to turbat pe ashk barsao
wo raat aayi thi zeeshan aur raza kaisi
lahad mein so gayi beti ghareeb e zahra ki..(2).

HomebookmarkmybayaazSetting